Header Ads

VIGYAN AUR BHARAT

VIGYAN AUR BHARAT


             Bharat hamesha se hi paramparaon ka desh raha hai jo bhi paramparayen purvajon ke dwara banai gayi hain unka nirvah karna har bharatvasi apna kartavya samazhta hai aur isi prakar se yeh paramparayen sadiyon se chali aarahi hain. Bharat ke har rajya, sehar, gaon mein har paramparayen alag aur anokhe dhang se nirvah ki jaati hain, Isiliye logon ko lagta hai ki bhartiye sanskriti vigyan par nirbhar na hoke apni paramparaon par nirbhar hai. Par unhe yeh pata hona chahiye ki bharat aur vigyan ka rishta itna purana hai jitna duniya ki aur kisi sanskriti ka nahi hai.

           Prachin kal se hi bharat mein siddh rishi-muni sodh karte the aur anek paramparaon aur rityon ko janm dete the, inn sab kriyaon mein vigyan nihit tha. Udharan ke liye( Maharashi Kanad ka siddhant lelen ya Mahan ganitagya Arya bhatt ki sunya ki khoj aur unke siddhanton ko utha len). Niskars ek hi niklega ki Vigyan aur Bharat kabhi alag the hi nahi.

             Aur aaj ho rahi bharat ki vigyan mein tarakki usi ka fal hai ki,swatantrata milne ke matra 75 varsh baad aaj bharat vigyan aur prodyogiki ke chetra mein unn deshon se aage ho chuka hai ya kandhe se kandhe mila kar chal raha hai jo humse kayi varsh pehle se swatantra hain.

            Bharat ki paramparaon se logon ka judaw aur humari paramparaon mein vigyan nihit hona hi humari vigyan mein tarakki ki vajah hai.

4 comments:

Powered by Blogger.